اردو हिंदी
ChaTak ke ghunche sunate hain kis ka afsana | Shaahi Shayari
chaTak ke ghunche sunate hain kis ka afsana

Ghazal

ChaTak ke ghunche sunate hain kis ka afsana

Kashfi Lucknavi

;

chaTak ke ghunche sunate hain kis ka afsana
ye kaun aa gaya gulshan mein be-hijabana

hamara hausla-e-dil agar salamat hai
badal hi denge kisi din nizam-e-mai-KHana

na hosh aaega us ko tere karam ke baghair
teri talash mein jo ho gaya hai diwana

yahi hai maslahat-e-waqt sab ko Thukra dun
mujhe samajhti hai duniya to samjhe diwana

kisi ke husn ki tabaniyon ka kya kahna
nigahen ho gain qurban misl-e-diwana

wahin main josh-e-haqiqat mein sar jhuka dunga
jahan milega mujhe naqsh-e-pa-e-jaanana

nasihat aap ki hai to baja magar naseh
wo kya kare ki hai jis ka mizaj rindana

wo jab se mere tasawwur mein aae hain 'kashfi'
bana hua hai tajalli-kada ye kashana