chashmak-zani mein karti nahin yar ka lihaz
nargis ki aankh mein bhi nahin hai zara lihaz
be-gali ab to baat bhi karte nahin kabhi
wo ibtida mein karte the be-intiha lihaz
tanha main aur itne wahan hain mere raqib
naz-o-ada ghamza-o-sharm-o-haya lihaz
saqi ki be-ruKHi ki kahan tab thi magar
pir-e-mughan ki ruh ka karna paDa lihaz
kya wasf-e-chashm-e-yar karun is ke samne
nargis se hai faqat mujhe ek aankh ka lihaz
hurmat baDi hai us ki na kar hajw is qadar
lazim hai duKHt-e-raz ka tujhe waiza lihaz
nikli na KHum se bazm-e-jawanan-e-mast mein
pir-e-mughan ka bint-e-inab ne kiya lihaz
phir mujh se is tarah ki na kijega dil-lagi
KHair us ghaDi to aap ka main kar gaya lihaz
be-KHud sharab-e-shauq ne shab ko ye kar diya
un ko raha hijab na mujh ko raha lihaz
qurban is hijab ke is sharm ke nisar
itna na aashiqon se kar ai mah-laqa lihaz
mahjub hai mizaj 'qalaq' apna is qadar
karte hain apne KHurd ka bhi hum bura lihaz
Ghazal
Chashmak-zani mein karti nahin yar ka lihaz
Arshad Ali Khan Qalaq