chashm se ghafil na hua chahiye
us ke muqabil na hua chahiye
dil ka zarar jaan ka nuqsan hai
ab kahin mail na hua chahiye
hai but-e-KHun-KHar bahut tund-KHu
bosa ke sail na hua chahiye
aql ko dil chhoD rah-e-ishq mein
hamrah-e-kahil na hua chahiye
roz tanazzul mein hai mah-e-tamam
dahr mein kaamil na hua chahiye
yar kamar bandhiye insaf par
bar-sar-e-baatil na hua chahiye
qatl ke qabil hai ye 'joshish' tera
ghair ke qatil na hua chahiye
Ghazal
Chashm se ghafil na hua chahiye
Joshish Azimabadi