chashm-o-gesu ka koi zikr na ruKHsar ki baat
baiTh kar kijiye un se dar-o-diwar ki baat
ye adaen ye ishaare ye hasin qaul-o-qarar
kitne aadab ke parde mein hai inkar ki baat
raat bhar jis ki tamanna mein jale hain hum log
wo sahar shaiKH ki nazron mein hai kuffar ki baat
bazm-e-aghyar agar ho to bichhe jate hain
aur karte hain wo hum se rasan-o-dar ki baat
madh-e-sayyaad bahar-haal zaruri to nahin
chup raho ye bhi hai ab jurat-e-kirdar ki baat
kis bharose pe karen ishq ka sauda 'KHalid'
waqt shayad hai ki rahti nahin talwar ki baat
Ghazal
Chashm-o-gesu ka koi zikr na ruKHsar ki baat
Khalid Yusuf