chashm-o-dil sahab-e-guftar hue jate hain
raste aql ko dushwar hue jate hain
hijr-e-derina se ab KHush the bahut main aur wo
ab magar fasle bezar hue jate hain
wo nigahen hain mughanni ki thirakti poren
saz soe hue bedar hue jate hain
sher-goi tera mansab to nahin tifl-e-suKHan
han magar hijr mein do chaar hue jate hain
nisbat-e-abjad-e-kirdar na thi jin ko 'naim'
sahab-e-azmat-e-kirdar hue jate hain
Ghazal
Chashm-o-dil sahab-e-guftar hue jate hain
Naeem Zarrar Ahmad