اردو हिंदी
Chashm ne ki gauhar-afshani sarih | Shaahi Shayari
chashm ne ki gauhar-afshani sarih

Ghazal

Chashm ne ki gauhar-afshani sarih

Mushafi Ghulam Hamdani

;

chashm ne ki gauhar-afshani sarih
ho gai ye hum se nadani sarih

munh chhupa qatil ki teri hi taraf
tak rahi hai chashm-e-qurbani sarih

karbala-e-ishq mein ushshaq ki
tegh o KHanjar par hai mehmani sarih

aaine mein bhi nahin paDta hai aks
hai teri taswir la-sani sarih

zhaala-san kyun-kar ghule jawen na hum
hai jo aansu mein pareshani sarih

kyunki istiqlal ka dam maren hum
ustuKHan apne to hain pani sarih

mazra-e-dil kis tarah sarsabz ho
barq yan karti hai jaulani sarih

mah-e-nau hai kis ke dar ka sajda-pash
ruk gai hai us ki peshani sarih

'mushafi' dam toDe hai marta nahin
kar raha hai ye giran-jaani sarih