chashm ka kar raha hun tar tabdil
ho nahin pa raha magar tabdil
ek zarurat ko dusri ke sath
log karte hain umr bhar tabdil
wahan phir ishq ke hue matlab
jahan hote the sirf ghar tabdil
ye to bas than hai rakho tum hath
hone lag jae dil ka bar tabdil
ek laDki bhi is mein rahti hai
dil karo mujh se soch kar tabdil
jab bhi nazdik hoti hai manzil
phir se ho jata hai safar tabdil
dekh kar manDiyon ki surat-e-haal
kar raha hai shajar samar tabdil
mein wo mayyat hun jis ki zinda se
ho gai hai kahin KHabar tabdil
nae mahaul mein uDenge wo
jo parinde karenge par tabdil
wasl ka lutf ho gaya barbaad
tum ne kyun ki agar magar tabdil
achchhi aankhen badal ke dekha hai
nahin hoti buri nazar tabdil
ki kisi rah pe wo mile 'muzhdam'
rose karte hain rahguzar tabdil
Ghazal
Chashm ka kar raha hun tar tabdil
Muzdam Khan