اردو हिंदी
Chashm-e-zahir-bin ko har ek pesh-manzar aashna | Shaahi Shayari
chashm-e-zahir-bin ko har ek pesh-manzar aashna

Ghazal

Chashm-e-zahir-bin ko har ek pesh-manzar aashna

Abbas Alvi

;

chashm-e-zahir-bin ko har ek pesh-manzar aashna
mil nahin sakta tujhe ab mujh se behtar aashna

zarf tera mujh pe raushan ho gaya hai is tarah
jis tarah qatre se hota hai samundar aashna

TuTna taqdir us ki toDna us ka KHamir
ghair mumkin hai na ho shishe se patthar aashna

har tarah ke phul hain dil ki zamin par dekhiye
kis tarah kah dun nahin sine se KHanjar aashna

main ne chaTTanon pe gul-buTe tarashe hain bahut
aap ki nazren bhi hotin kash manzar-ashna

jaanta hun kaun kya hai aap kyun den mashwara
main luTeron se bhi waqif aur rahbar-ashna