chashm-e-yaqin se dekhiye jalwa-gah-e-sifat mein
husn hi husn hai tamam ishq ki kaenat mein
aise bhi waqt aae hain ishq ki wardat mein
mastiyan jhum jhum uThin dida-e-kainat mein
tu meri sarguzisht-e-gham sun ke karega kya nadim
waqf-e-KHalish hai har-nafas dard hai baat baat mein
jam-o-sharab-o-KHum subu saqiya hain barae-nam
nashsha teri nazar ka hai mai-kada-e-hayat mein
jis ka anis tera gham jis ki rafiq teri yaad
us ko mila sukun-e-dil bazm-e-taghayyuraat mein
tark-o-talab ke marhale is tarah hum ne tai kiye
samne mere wo rahe aaina-e-hayat mein
aalam-e-be-KHudi mein gar sajda kiya koi 'waqar'
ban gaya naqsh-e-jawedan manzil-e-be-sabaat mein
Ghazal
Chashm-e-yaqin se dekhiye jalwa-gah-e-sifat mein
Waqar Bijnori