اردو हिंदी
Chashm-e-wa hi na hui jalwa-numa kya hota | Shaahi Shayari
chashm-e-wa hi na hui jalwa-numa kya hota

Ghazal

Chashm-e-wa hi na hui jalwa-numa kya hota

Daniyal Tareer

;

chashm-e-wa hi na hui jalwa-numa kya hota
aur hota bhi to dekhe ke siwa kya hota

ret ke bagh mein kya baad-e-bahaari ki talab
koi sabza hi nahin tha to hara kya hota

itni sada bhi nahin aag aur angur ki ramz
ajr deta na saza to bhi KHuda kya hota

meri KHwahish ke ilaqe se pare kuchh bhi na tha
aur KHwahish ke ilaqe mein naya kya hota

jism par sard hawaon ki fusun-kari thi
dhup tawiz na karti to mera kya hota

azhdahe banne lage peD parindon ke liye
shahr-e-pur-KHauf mein ab is se bura kya hota

dekhne mein bhi gaya tha wo tamasha lekin
koi baqi na raha raqs fana kya hota