chashm-e-tar raat mujh ko yaad aai
apni auqat mujh ko yaad aai
nala-e-dil par aah ki main ne
baat par baat mujh ko yaad aai
abhi bhuli thi duKHt-e-raz tauba
phir wo bad-zat mujh ko yaad aai
zulf mein dekh KHal ko us ke
shab ki wo ghat mujh ko yaad aai
dekh lala ka rang us ki kafak
aaj haihat mujh ko yaad aai
ji pe jis ke sitam kahin dekha
dil ki auqat mujh ko yaad aai
dekh rote 'hasan' ko shiddat se
par ki barsat mujh ko yaad aai
Ghazal
Chashm-e-tar raat mujhko yaad aai
Meer Hasan