chashm-e-saqi ka tasawwur bazm mein kaam aa gaya
bhar gai shishon mein mai gardish mein KHud jam aa gaya
muztarib dil ek tajalli mein faqat kaam aa gaya
ibtida hi mein KHayal-e-ibrat-anjam aa gaya
husn KHud-ara na yun hota hijab-andar-hijab
shan-e-tamkin ko KHayal-e-manzar-e-am aa gaya
husn ne itna taghaful meri hasti se kiya
rafta rafta zindagi ka mujh pe ilzam aa gaya
intizar ab shaq hai ai saqi-e-paiman-shikan
ghir gae baadal surahi aa gai jam aa gaya
hum to samjhe the sukun paenge be-hoshi ke baad
hosh jab aaya to phir lab par tera nam aa gaya
KHak aaKHir ho gaya sab saz-o-saman-e-hayat
kyun dil-e-barbaad-e-hasrat ab to aaram aa gaya
ho gai aasudgi jhagDa chuka rahat mili
na-tawan tha dil nabard-e-ishq mein kaam aa gaya
dil ne ki piri mein paida ghaflat-e-ahd-e-shabab
subh ka bhula jo manzil par sar-e-sham aa gaya
parda-e-duniya mein ab be-sud hain ye koshishen
ai farem-e-ab-o-dana main tah-e-dam aa gaya
rind mustaghni hain duniya se gharaz hum ko 'aziz'
daulat-e-jam mil gai jab hath mein jam aa gaya
Ghazal
Chashm-e-saqi ka tasawwur bazm mein kaam aa gaya
Aziz Lakhnavi