chashm-e-nam par muskura kar chal diye
aag pani mein laga kar chal diye
sari mahfil laDkhaDati rah gai
mast aankhon se pila kar chal diye
gard-e-manzil aaj tak hai be-qarar
ek qayamat hi uTha kar chal diye
meri ummidon ki duniya hil gai
naz se daman bacha kar chal diye
muKHtalif andaz se dekha kiye
sab ki nazren aazma kar chal diye
gulsitan mein aap aae bhi to kya
chand kaliyon ko hansa kar chal diye
wajd mein aa kar hawaen rah gain
zer-e-lab kuchh gunguna kar chal diye
wo faza wo chaudhwin ki chandni
husn ki shabnam gira kar chal diye
wo tabassum wo adaen wo nigah
sab ko diwana bana kar chal diye
kuchh KHabar un ki bhi hai 'mahir' tumhein
aap to ghazlen suna kar chal diye
Ghazal
Chashm-e-nam par muskura kar chal diye
Mahirul Qadri