chashm-e-nam pahle shafaq ban ke sanwarna chahe
aur phir ret ke daman pe bikharna chahe
ajab insan hai wo sehr ye karna chahe
aankh se dekho agar dil mein utarna chahe
kuchh ajab us se talluq hai ki us ki har baat
mauj-e-KHun ban ke mere sar se guzarna chahe
sara din dhup ke sahra mein rahe sargardan
sham hote hi samundar mein utarna chahe
KHud rahe tan-o-malamat ka hadaf us pe kabhi
apni ruswai ka ilzam na dharna chahe
aaina jaan ka mukaddar sahi lekin 'shahin'
dil ki taswir to aankhon mein utarna chahe
Ghazal
Chashm-e-nam pahle shafaq ban ke sanwarna chahe
Salma shaheen