chashm-e-nam le ke chalo qalb-e-tapan le ke chalo
ek patthar ke liye shoala-e-jaan le ke chalo
shayad us ko bhi shab-e-hijr nazar aa jae
apni palkon pe charaghon ka dhuan le ke chalo
us ko chaha hai to phir sang-e-malamat bhi chuno
phul toDe hain to ab koh-e-giran le ke chalo
be-haqiqat hain wahan lal-o-gohar shams-o-qamar
dushman-e-jaan ke liye tohfa-e-jaan le ke chalo
ek bar aur use dekh lun marte marte
mera qatil hai kahan mujh ko wahan le ke chalo
us ke honTon se chura lo koi rangin sa KHwab
us ki zulfon se koi abr-e-rawan le ke chalo
'nur' dar-pesh hai ab tum ko KHizaon ka safar
us ke aariz se bahaaron ka saman le ke chalo
Ghazal
Chashm-e-nam le ke chalo qalb-e-tapan le ke chalo
Noor Bijnauri