chashm-e-nam kuchh bhi nahin aur sher-e-tar kuchh bhi nahin
ab yahan KHun-e-jigar naqsh-e-hunar kuchh bhi nahin
hai sabhi kuchh mehrban na-mehrban lafzon ka pher
zindagi mein mo'tabar na-mo'tabar kuchh bhi nahin
dil se dil ko rah kaisi hai ye husn-e-ittifaq
warna duniya mein mohabbat ka asar kuchh bhi nahin
jis hunar ko log samjhenge kabhi lal-o-gohar
aaj ke bazar mein aisa hunar kuchh bhi nahin
ahl-e-iman ka aqida hai KHuda ke bab mein
hai wahi sab kuchh jo ta-hadd-e-nazar kuchh bhi nahin
apne apne faede ki jang jari hai yahan
chashm-e-bina mein nizam-e-KHair-o-shar kuchh bhi nahin
ai sukut-e-la-makan mein baiThne wale bata
kya jahan-e-chaar-su ka shor-o-shar kuchh bhi nahin
har taraf se zulmaton ka ek sail-e-be-iman
is jahan mein hasil-e-fikr-o-nazar kuchh bhi nahin
Ghazal
Chashm-e-nam kuchh bhi nahin aur sher-e-tar kuchh bhi nahin
Nazeer Siddiqui