اردو हिंदी
Chashm-e-millat mein makin kaun hai aagha shorish | Shaahi Shayari
chashm-e-millat mein makin kaun hai aagha shorish

Ghazal

Chashm-e-millat mein makin kaun hai aagha shorish

Meem Hasan Lateefi

;

chashm-e-millat mein makin kaun hai aagha shorish
gosha-e-dil ke qarin kaun hai aagha shorish

sher-o-insha ki bahaaren hain bahaaren jis se
wo bahaaron se hasin kaun hai aagha shorish

jis pe be-tul KHazane bhi luTa ke na hun ser
be-baha durr-e-samin kaun hai aagha shorish

jis ki jaankahi-e-isar se zindan bhi tha tur
wo daraKHshanda nagin kaun hai aagha shorish

kis ki bebaki-e-kirdar hai iman afroz
ghairat-e-dair-nashin kaun hai aagha shorish

jis ko europe ka muqamir na kabhi jit sake
nard-e-na-said-e-makin kaun hai aagha shorish

jis jawan-fikr ki taqrir se baatil larze
wo jawan azm-o-yaqin kaun hai aagha shorish

kis ki kirnon mein nae sanehe paDh sakte hain
hind ki tab-e-jabin kaun hai aagha shorish

azm-e-isar ka ek paikar-e-bedar-o-buland
hamdam-e-zar-o-hazin kaun hai aagha shorish

puchha saqi se mai-e-tund ne masti chillai
mard-e-painda-tarin kaun hai aagha shorish

shorishen aap ki hain mani-e-nau se labrez
amn-e-alam ka amin kaun hai aagha shorish