chashm-e-maigun zara idhar kar de
dast-e-qudrat ko be-asar kar de
tez hai aaj dard-e-dil saqi
talKHi-e-mai ko tez-tar kar de
josh-e-wahshat hai tishna-kaam abhi
chaak-e-daman ko ta jigar kar de
meri qismat se khelne wale
mujh ko qismat se be-KHabar kar de
luT rahi hai meri mata-e-niyaz
kash wo is taraf nazar kar de
'faiz' takmil-e-arzu malum
ho sake to yunhi basar kar de
Ghazal
Chashm-e-maigun zara idhar kar de
Faiz Ahmad Faiz