اردو हिंदी
Chashm-e-KHunbar mein kyun laKHt-e-jigar jama karen | Shaahi Shayari
chashm-e-KHunbar mein kyun laKHt-e-jigar jama karen

Ghazal

Chashm-e-KHunbar mein kyun laKHt-e-jigar jama karen

Kishan Kumaar Waqaar

;

chashm-e-KHunbar mein kyun laKHt-e-jigar jama karen
ghuncha-e-gul ki tarah ka hai ko zar jama karen

qatl ke baad hua hukm ki lashen uTh jaen
qaid-e-tafriq se maqtulon ke sar jama karen

yar ne KHatt-o-kabutar ke kiye hain TukDe
purze kaghaz ke karen jama ki par jama karen

fikr mein gesu-o-ruKHsar ke dil ki KHatir
sham hoti hai pareshan jo sahar jama karen

hum rahe dahr mein jab tak tu rahe pa-ba-rikab
par na ye ho saka asbab-e-safar jama karen

donon aalam se na kyun band wo aankhen rakkhen
tere nazzare ke KHatir jo nazar jama karen

yak qalam panj sad-o-chaar hon diwan mein ghazal
hum kalam apna 'waqar' aaj agar jama karen