اردو हिंदी
Chashm-e-KHun-KHwar abru-e-KHamdar donon ek hain | Shaahi Shayari
chashm-e-KHun-KHwar abru-e-KHamdar donon ek hain

Ghazal

Chashm-e-KHun-KHwar abru-e-KHamdar donon ek hain

Joshish Azimabadi

;

chashm-e-KHun-KHwar abru-e-KHamdar donon ek hain
hain juda lekin ba-waqt-e-kar donon ek hain

bais-e-aram ye ne mojib-e-azar wo
chashm-e-wahdat mein hi gul aur KHar donon ek hain

iltiyam-e-zaKHm-e-dil ke haq mein gar kije nigah
sabza-e-KHat marham-e-zangar donon ek hain

haalat istighna ki jis ke hath aai hai yahan
us ke nazdik andak o bisyar donon ek hain

mere us ke go judai aa gai hai darmiyan
jis ghaDi baham hue do-chaar donon ek hain

jo na mane us ko aashiq ho ke us pe dekh le
abru-e-KHamdar aur talwar donon ek hain

kya kahun main is ko aankhon ne diye hain jo fareb
fann-e-makkari mein ye makkar donon ek hain

jo hai kaba wo hi but-KHana hai shaiKH o barhaman
is ki nahaq karte ho takrar donon ek hain

ye nahin kahne ka 'joshish' hoga jo sahib-e-dimagh
zulf-e-yar o nafa-e-tatar donon ek hain