اردو हिंदी
Chashm-e-hasin mein hai na ruKH-e-fitna-gar mein hai | Shaahi Shayari
chashm-e-hasin mein hai na ruKH-e-fitna-gar mein hai

Ghazal

Chashm-e-hasin mein hai na ruKH-e-fitna-gar mein hai

Behzad Lakhnavi

;

chashm-e-hasin mein hai na ruKH-e-fitna-gar mein hai
duniya ka har fareb fareb-e-nazar mein hai

ab kya KHabar ki dil mein hai kya kya jigar mein hai
ab to teri nazar ka tamasha nazar mein hai

iman rakh ke kya karun farsuda chiz hai
masti mujhe qubul ki teri nazar mein hai

nasur dard-e-zaKHm tapish soz-o-iztirab
saman sau tarah ka dil-e-muKHtasar mein hai

hazir hai us ke waste jis ko ho aarzu
han ek lahu ki bund meri chashm-e-tar mein hai

qismat se mil gai hai ye bedari-e-hayat
is ishq ke nisar ki duniya nazar mein hai

mujh ko na din ko chain na shab ko sukun nasib
ek rabt-e-daimi meri sham-o-sahar mein hai

hairat se dekhiye na mere sajda-ha-e-shauq
ye aastan kuchh aur hi meri nazar mein hai

baqi hain baad-e-tauba bhi rindi ke walwale
dil mein KHayal-e-baada hai saghar nazar mein hai

achchhi mili hai mujh ko ye diwangi-e-shauq
duniya ka har KHayal dil-e-be-KHabar mein hai

do qatra-ha-e-KHun sar-e-mizhgan hain muntazir
'bahzad' do-jahan ka tamasha nazar mein hai