chashm-e-hairat ko talluq ki faza tak le gaya
koi KHwabon se mujhe dasht-e-bala tak le gaya
TuTti parchhaiyon ke shahr mein tanha hun ab
hadson ka silsila gham-ashna tak le gaya
dhup diwaron pe chaDh kar dekhti hi rah gai
kaun suraj ko andheron ki gupha tak le gaya
umr bhar milne nahin deti hain ab to ranjishen
waqt hum se ruTh jaane ki ada tak le gaya
is qadar gahri udasi ka sabab khulta nahin
jaise honTon se koi harf-e-dua tak le gaya
jaane kis ummid par ek aarzu ka silsila
mujh se paiham dur hoti ek sada tak le gaya
KHak mein milte hue barg-e-KHizan se puchhiye
kaun shaKHon se use unchi hawa tak le gaya
Ghazal
Chashm-e-hairat ko talluq ki faza tak le gaya
Fasih Akmal