chashm-e-hairan ko yun hi mahw-e-nazar chhoD gae
dil mein lahrae KHayalon mein sharar chhoD gae
jin ke sae mein kabhi baiTh ke sustaya tha
wo ghane peD meri rah-guzar chhoD gae
muntazir un ke liye hai kisi girdab ki aankh
KHud safinon ko jo hangam-e-KHatar chhoD gae
qafile nur ke utre na kisi manzil par
shab ke nam-dida kinaron pe sahar chhoD gae
KHirgi hai ki utarti hi nahin aankhon se
kin andheron mein hamein shams-o-qamar chhoD gae
le gae log jabinon mein ibaadat ka ghurur
kitne sajdon ko magar KHak-basar chhoD gae
aae aankhon mein na dam bhar ko sulagte aansu
parda-e-chashm pe ek naqsh magar chhoD gae
raat ke aks jo shabnam mein utarne aae
kitne phulon mein 'samad' dagh-e-jigar chhoD gae

Ghazal
Chashm-e-hairan ko yun hi mahw-e-nazar chhoD gae
Samad Ansari