chashm-e-hairan ko tamasha-e-digar par rakkha
aur is dil ko teri KHair-KHabar par rakkha
ain-mumkin hai charaghon ko wo KHatir mein na lae
ghar ka ghar hum ne uTha rahguzar par rakkha
bojh se jhukne lagi shaKH to ja kar hum ne
aashiyane ko kisi aur shajar par rakkha
chaman-e-dahr mein is tarah basar ki hum ne
saya-e-gul ka bhi ehsan na sar par rakkha
us ki aawaz pe bahar nikal aaya hun 'jamal'
sara asbab-e-safar rah gaya ghar par rakkha
Ghazal
Chashm-e-hairan ko tamasha-e-digar par rakkha
Jamal Ehsani