chashm-e-gardun phir tamazat apni barsane lagi
phir zamin minna-kash-e-dariya nazar aane lagi
phir jahan-e-taza ki hum justuju karne lage
phir KHarabe mein tabiat apni ghabrane lagi
kya mayassar aa gaya mujh ko hawa ka iltifat
ab meri aawaz shayad dur tak jaane lagi
manzar-e-KHush-rang se ukta ke aaKHir ye nazar
apni aawara-mizaji ki saza pane lagi
phir kisi ke dar pe KHushbu de rahi hai dastaken
phir koi aahaT mere kanon se Takrane lagi
Ghazal
Chashm-e-gardun phir tamazat apni barsane lagi
Shoaib Nizam