chashm-e-ahu aur hai is ki kahani aur hai
jis mein main rahta hun chashm-e-asmani aur hai
jis mein tu shamil tha wo kuchh aur tha tarz-e-hayat
ab jo guzre ja rahi hai zindagani aur hai
ghar ke andar jo hua wo waqia kuchh aur tha
us ne jo sab ko sunai wo kahani aur hai
aatish-e-gham KHana-e-dil mein bujhane ke liye
aur ro lunga abhi aankhon mein pani aur hai
tairne se Dubna KHush-tar hai dil ki naw ka
gham ka dariya aur hai is ki rawani aur hai
ek ghazal sun kar 'munawar' wo bahut naraaz hai
ek manane ke liye us ko sunani aur hai
Ghazal
Chashm-e-ahu aur hai isko kahani aur hai
Munawwar Hashmi