chashm be-KHwab hui shahr ki virani se
dil utarta hi nahin taKHt-e-sulaimani se
pahle to raat hi kaTe se nahin kaTti thi
aur ab din bhi guzarta nahin aasani se
hum ne ek dusre ke aks ko jab qatl kiya
aaina dekh raha tha hamein hairani se
ab ke hai lab-e-ab hi mar jaenge
pyas aisi hai ki bujhti hi nahin pani se
aankh pahchanti hai luTne walon ko magar
kaun puchhega meri be-sar-o-samani se
yunhi dushman nahin dar aaya mere aangan mein
dhup ko rah mili peD ki uryani se
koi bhi chiz salamat na rahe ghar mein 'salim'
faeda kya hai bhala aisi nigahbani se
Ghazal
Chashm be-KHwab hui shahr ki virani se
Saleem Kausar