اردو हिंदी
CharKH ki sai-e-jafa koshish nakara hai | Shaahi Shayari
charKH ki sai-e-jafa koshish nakara hai

Ghazal

CharKH ki sai-e-jafa koshish nakara hai

Akhtar Ansari

;

charKH ki sai-e-jafa koshish nakara hai
gardish-e-dahr yahan jumbish-e-gahwara hai

chand taron ke talatum se ye aata hai KHayal
dil-e-wahshi koi tufan-zada sayyara hai

bah gae dida-e-nam-nak se dariya lekin
dil wahi ek dahakta hua angara hai

dil hua soz-e-jahannam mein giraftar magar
ruh ab bhi kisi firdaus mein aawara hai

kaisi taqdir ki gardish gham-e-dil ko main ne
gardish-e-gumbad-e-aflak pe de mara hai

mere sheron se tarruz na kar ai naqid-e-fan
meri barbaadi-e-dil hi mera shah-para hai

bahjat-e-fikr pe qadir hun main jab tak 'aKHtar'
mujhe sarmaya-e-andoh bahut pyara hai