charKH bhi chhu len to jaana hai isi miTTi mein
mustaqil apna Thikana hai isi miTTi mein
jin ke daman pe kabhi chand-sitare chamke
dafan un ka bhi fasana hai isi miTTi mein
be-amal hath lagae bhi to KHali jae
han jafa-kash ka KHazana hai isi miTTi mein
is tarah chal ki ye pamal na hone pae
be-KHabar aab hai dana hai isi miTTi mein
ham-watan KHak-e-watan kyun na ho pyari ki hamein
baad-az-marg bhi jaana hai isi miTTi mein
log kal kah ke tujhe yaad karenge 'aKHlaq'
shair-e-faKHr-e-zamana hai isi miTTi mein
Ghazal
CharKH bhi chhu len to jaana hai isi miTTi mein
Akhlaque Bandvi