charche tere KHulus ke duniya mein kam na the
phir bhi tere karam ke saza-war hum na the
hoga koi sharir sa jhonka nasim ka
jis ne teri naqab uThai wo hum na the
muzmar thin tere jaur mein teri inayaten
tere sitam bhi teri nawazish se kam na the
us raste pe chhoD gaya rahbar mujhe
jis raste pe aap ke naqsh-e-qadam na the
masumiyat ne jina bhi dushwar kar diya
na-karda-kar dil mein kabhi itne gham na the
kuchh bojh ban chuki thin teri kam-nigahiyan
mahfil mein intishaar ka bais to hum na the
'kausar' ko baryabi ka eazaz mil gaya
pahle hi us pe aap ke ehsan kam na the

Ghazal
Charche tere KHulus ke duniya mein kam na the
Maher Chand Kausar