charcha is ek baat ka dasht-o-daman mein tha
kis ka latif hath zuhur-e-chaman mein tha
kanTa tha husn-e-zat ka karta na kyun KHalish
yak-guna haz-o-lutf bhi lekin chubhan mein tha
us shaKHs ke zamir ne kar li thi KHud-kushi
pauda hawas ka jis ki tamanna ke ban mein tha
sayyara-e-gunah ka saya jidhar paDa
tare siyah-posh the suraj gahan mein tha
yalghaar kar rahi thi mozahim pe dam-ba-dam
kis darja garm KHun ana ke badan mein tha
go meri baat par use 'hadi' yaqin to tha
shak-o-guman ka rang bhi us ke chalan mein tha
Ghazal
Charcha is ek baat ka dasht-o-daman mein tha
Manohar Lal Hadi