اردو हिंदी
Charaghon mein andhera hai andhere mein ujale hain | Shaahi Shayari
charaghon mein andhera hai andhere mein ujale hain

Ghazal

Charaghon mein andhera hai andhere mein ujale hain

Badr Wasti

;

charaghon mein andhera hai andhere mein ujale hain
hamare shahr mein kali hawa ne par nikale hain

hamein shab kaTne ka fan wirasat mein mila hum ne
kabhi patthar pakae hain kabhi sapne ubaale hain

dilon mein KHauf hai us ka nazar hai us ki rahmat par
gunahgaron mein shamil hain magar allah wale hain

laDe the sath mil kar hum charaghon ke liye lekin
hamare ghar andhere hain tumhaare ghar ujale hain

tumhaari yaad se achchha nahin hota koi aalam
mayassar jin ko ho jae baDi taqdir wale hain

mohabbat aaKHiri hal hai hamare sab masail ka
magar hum ne to nafrat ke sanpole dil mein pale hain

bhaDakti aag to do chaar din mein bujh gai thi 'badr'
abhi tak shahr ke manzar na jaane kyun dhuanle hain