charaghon ke bujhane ko hawa be-iKHtiyar aai
gulabon ki mahak bikhri to aawaz-e-sharar aai
bagulon ne safar mein aandhiyon ka aasman dekha
magar ek faKHta apne shajar tak be-ghubar aai
jise tu ne ujala jaan kar chehre pe likkha tha
wahi shohrat teri ruswaiyon ke ham-kanar aai
andheron mein mujhe KHud ek sitara DhunDne aaya
ki shahr be-hunar se ek sada-e-e'tibar aai
meri aankhon mein jitne rang the sab jal gae 'jazib'
magar wo mujh se milne jab bhi aai be-qarar aai
Ghazal
Charaghon ke bujhane ko hawa be-iKHtiyar aai
Jazib Quraishi