charagh zulmat-e-be-nur mein jalana tera
pasand aaya na logon ko aastana tera
yunhi guzaroge tum arsa-e-hayat agar
na hoga ek bhi pal koi jawedana tera
bahut qarib se main tujh ko jaanta hun miyan
har ek KHub samajhta hun main bahana tera
hamein banaoge jis waqt lashkari apna
KHata na hoga kisi taur bhi nishana tera
na koi tujh ko bachaega qatl hone se
paDenge log janaza bhi ghaebana tera
na dega koi bhi mushkil ghaDi mein sath tera
agarche aaj ye girwida hai zamana tera
siwae ek kafan ke na kuchh milega tujhe
kisi bhi kaam na aaega ye KHazana tera
ise badalna hai ek rose KHak mein aaKHir
saja ke rakkhega jo bhi nigar-KHana tera
'nabil' is ke siwa aur kya diya tum ne
hamari piTh hai aur dost taziyana tera
Ghazal
Charagh zulmat-e-be-nur mein jalana tera
Nabeel Ahmad Nabeel