charagh us ne bujha bhi diya jala bhi diya
ye meri qabr pe manzar naya dikha bhi diya
ye chheD kya hai ye kya mujh se dil-lagi hai koi
jagaya nind se jaga to phir sula bhi diya
udhar tha lutf-o-karam un ka is taraf tha itab
charagh umid ka raushan kiya bujha bhi diya
ye shoKHiyan nai dekhin tumhaari chitwan mein
ki parda ruKH pe liya aur phir uTha bhi diya
udhar lagaw idhar barhami ke hain aasar
mujhe phansa bhi liya aur phir chhuDa bhi diya
nikal gae meri aankhon se saikaDon aansu
KHazana jama kiya aur phir luTa bhi diya
naya hai husn ke bazar ka utar-chaDhaw
chaDhaya sar pe nigahon se phir gira bhi diya
zara to pas-e-talab aashiqon ka tum karte
bulaya pas bhi phir pas se haTa bhi diya
ye un ka khel to dekho ki ek kaghaz par
likha bhi nam mera aur phir miTa bhi diya
agarche rah-e-mohabbat hai tang-o-tar magar
isi ke sath hamein aql ka diya bhi diya
bashir sing kaTa kar mile hain bachhDon mein
bane jawan buDhape ka gham bhula bhi diya
Ghazal
Charagh usne bujha bhi diya jala bhi diya
Bashiruddin Ahmad Dehlvi