اردو हिंदी
Charagh taq-e-tilismat mein dikhai diya | Shaahi Shayari
charagh taq-e-tilismat mein dikhai diya

Ghazal

Charagh taq-e-tilismat mein dikhai diya

Ahmad Kamran

;

charagh taq-e-tilismat mein dikhai diya
phir is ke baad mere hath mein dikhai diya

main KHush hun kamre mein pahli daraD aane se
chalo main apne mazafat mein dikhai diya

kai charagh bana lunga toD kar suraj
agar kabhi ye mujhe raat mein dikhai diya

hazar aaankhon ne ghere mein le liya mujh ko
main ek shaKHs ke KHadshat mein dikhai diya

ek aur ishq mujhe kah raha tha aa 'ahmad'
ek aur hijr meri ghat mein dikhai diya