charagh sham se aaKHir jalaen kis ke liye
koi na aaega aankhen bichhaen kis ke liye
khincha khincha nazar aata hai hum se har aanchal
sitare toD ke laen to laen kis ke liye
nahin hai koi hamein zindagi ka shauq magar
hum apni jaan se jaen to jaen kis ke liye
sitam uThane ka maqsad bhi koi hota hai
hum aasman se sharten lagaen kis ke liye
KHilaf hum nahin aKHtar-shumariyon ke magar
sawal ye hai ki ninden ganwaen kis ke liye
wafa ek aag hai bachchon ka koi khel nahin
hum apna muft mein daman jalaen kis ke liye
sharab hum pe hamesha se hai haram 'alim'
pata nahin ye uThi hain ghaTaen kis ke liye
Ghazal
Charagh sham se aaKHir jalaen kis ke liye
Aleem Usmani