اردو हिंदी
Charagh se kabhi taron se raushni mange | Shaahi Shayari
charagh se kabhi taron se raushni mange

Ghazal

Charagh se kabhi taron se raushni mange

Guhar Khairabadi

;

charagh se kabhi taron se raushni mange
andheri raat bhi kis kis se zindagi mange

jalane wale jalate hain nafraton ke charagh
faza-e-waqt mohabbat ki raushni mange

wo na-shanas-e-haqiqat hai is zamana mein
wafa ko bhik samajh kar gali gali mange

nishat-o-ranj muqaddar ki baat hoti hai
kisi se gham na kisi se koi KHushi mange

har ek shaKHs mein andaz-e-kaj-adai hai
magar ye dil hai ki rah rah ke dosti mange

jahan suron ki haqiqat na ho wahan pe 'guhar'
jo koi mange to kya taj-e-khusrawi mange