اردو हिंदी
Charagh hathon ke bujh rahe hain sitara har rah-guzar mein rakh de | Shaahi Shayari
charagh hathon ke bujh rahe hain sitara har rah-guzar mein rakh de

Ghazal

Charagh hathon ke bujh rahe hain sitara har rah-guzar mein rakh de

Atiiqullah

;

charagh hathon ke bujh rahe hain sitara har rah-guzar mein rakh de
utar de chand us ke dar par siyah din mere ghar mein rakh de

kahin kahin koi rabt-e-maKHfi ibarat-e-muntashar mein rakh de
gurez par hain nishan sare taraf bhi koi safar mein rakh de

talab talab aaina-sifat hai KHarab-o-KHasta hain aks sare
ye nekiyan bhi hain sar-barahna latafat-e-KHair shar mein rakh de

nashat-awar hai ye udasi ka ek uDta hua sa lamha
mabaada taq-e-raja ho viran sharara ek chashm-e-tar mein rakh de

ye sarf-o-hasil-gazida duniya na din hi mere na meri raaten
kahan talak dekhta hi jaun samaaten kuchh nazar mein rakh de

mere KHuda mere jism-o-jaan ke KHuda mere hath jhaD na jaen
dua tah-e-sang-e-lab gaDi hai asar zara sa asar mein rakh de

badan hai ya qila-e-hawa hai kahin se aaun kahin se jaun
hazaron raKHne paDe hue hain uTha ke diwar dar mein rakh de