charagh hath mein tha tir bhi kaman mein tha
main phir bhi haar gai tu jo darmiyan mein tha
main aasman ki hadon ko bhi par kar leti
magar wo KHauf jo hael meri uDan mein tha
thi zaKHm zaKHm magar KHud ko TuTne na diya
samundaron se siwa hausla chaTTan mein tha
badal bhi sakta hai aKHbar ki KHabar ki tarah
tera ye wasf bhala kab mere guman mein tha
akela chhoD diya dhup mein safar ke liye
us ek shaKHs ne jo dil ke saeban mein tha
yaqin tujh pe bha kis tarah main kar leti
tazad had se ziyaada tere bayan mein tha
Ghazal
Charagh hath mein tha tir bhi kaman mein tha
Humaira Rahat