charagh-e-zist maddham hai abhi tu nam na kar aankhen
abhi ummid mein dam hai abhi tu nam na kar aankhen
kabhi to wasl ki chaaragari bhi kaam aaegi
abhi to hijr marham hai abhi tu nam na kar aankhen
abhi to samne baiThi hun bilkul samne tere
abhi kis baat ka gham hai abhi tu nam na kar aankhen
abhi jo fikr hai teri use sabit to hone de
abhi yaron mein dam-KHam hai abhi tu nam na kar aankhen
sarabon se abhi ummid ke jharne nahin phuTe
ajab tishna sa aalam hai abhi tu nam na kar aankhen
bahaaren hon na hon phir bhi chaman KHali nahin rahta
ye mausam gham ka mausam hai abhi tu nam na kar aankhen
abhi manzar badalte hi badal jaenge sab chehre
bichhaDte waqt ka gham hai abhi tu nam na kar aankhen
abhi ai bulbulo gao na naghme tum bahaaron ke
abhi to lutf-e-paiham hai abhi tu nam na kar aankhen
Ghazal
Charagh-e-zist maddham hai abhi tu nam na kar aankhen
Renu Nayyar