charagh-e-zist ke donon sire jalao mat
agar jalao to lau is qadar baDhao mat
is aarzu mein ki zinda uTha liye jao
KHud apne dosh pe apni salib uThao mat
sulag raha hai jo dil wo bhaDak bhi sakta hai
qarib aao par itne qarib aao mat
jo zaKHm khae hain un ko sada aziz rakho
jo tum ko bhul gaya ho use bhulao mat
jahan mein koi to ho eatibar ke qabil
wafa-e-dost ko ab aur aazmao mat
isi tarah se mili hai har ek ko dad-e-hunar
jo sang aae use chum lo ganwao mat

Ghazal
Charagh-e-zist ke donon sire jalao mat
Shahid Ishqi