charagh-e-sham hi tanha nahin hai
hawa main ne bhi ghar dekha nahin hai
wo baadal hai magar is dasht-e-jaan par
abhi dil khol kar barsa nahin hai
mohabbat ek hisar-e-be-nishan hai
lahu mein daera banta nahin hai
bikharti ja rahi hun aur KHush hun
simaTne mein koi sachcha nahin hai
KHosha ai ru-e-shaKH-e-sabz tujh par
sarab-e-aina khulta nahin hai
tujhe dekha hai jab se sham-aluda
meri aankhon mein din utra nahin hai
main kyun dekhun hujum-e-mahr-o-mah ko
meri tanhaiyon mein kya nahin hai
nahin jate hain dukh ab aa ke ghar se
ki ye aana tera aana nahin hai
bhaTak jaengi raaten jis ke hathon
abhi us KHwab ka charcha nahin hai
zaban gum thi asar ke zaiqon mein
tera mujrim lab-e-goya nahin hai

Ghazal
Charagh-e-sham hi tanha nahin hai
Shahida Hasan