charagh-e-rahguzar hai jala rahega wo
magar hawa ke liye masala rahega wo
kahan hai hijr mein rahne ka tajraba us ko
tamam umr dua mangta rahega wo
jagah badalne se haiat kahan badalti hai
jo aaina hai sada aaina rahega wo
main us charagh ki lau ko KHiraj de aaun
jo bujh gaya to hamesha bujha rahega wo
bahut hi dhup hai ab saeban bana 'mohsin'
KHud apne sae mein kab tak khaDa rahega wo
Ghazal
Charagh-e-rahguzar hai jala rahega wo
Mohsin Asrar