charagh-e-kushta se qindil kar raha hai mujhe
wo dast-e-ghaib jo tabdil kar raha hai mujhe
ye mere miTte hue lafz jo damak uThe hain
zarur wo kahin tartil kar raha hai mujhe
main jagte mein kahin ban raha hun az-sar-e-nau
wo apne KHwab mein tashkil kar raha hai mujhe
harim-e-naz aur ek umr baad main lekin
ye iKHtisar jo tafsil kar raha hai mujhe
badan pe taza nishan ban rahe hain jaise koi
mere ghayab mein tahwil kar raha hai mujhe
badal rahe hain mere KHadd-o-KHal 'turk' abhi
musalsal aaina tawil kar raha hai mujhe
Ghazal
Charagh-e-kushta se qindil kar raha hai mujhe
Zia-ul-Mustafa Turk