اردو हिंदी
Charagh-e-ishq jalta hai hamare qalb-e-viran mein | Shaahi Shayari
charagh-e-ishq jalta hai hamare qalb-e-viran mein

Ghazal

Charagh-e-ishq jalta hai hamare qalb-e-viran mein

Jaleel Allahabadi

;

charagh-e-ishq jalta hai hamare qalb-e-viran mein
chale aao abhi tak raushni hai is bayaban mein

nahin ai dost in ashkon ka koi dekhne wala
daraKHshan hain jo anjum ki tarah chaak-e-gareban mein

kuchh aise gham bhi hote hain jo ashkon mein nahin Dhalte
sharare ban ke lekin raqs karte hain rag-e-jaan mein

banana tha jise mansur use dar-o-rasan baKHsha
use yusuf banate hain jise rakhte hain zindan mein

wo kashti aaj Duba chahti hai pas sahil ke
salamat ek muddat tak rahi jo bahr-e-tufan mein

zamane mein faqat ek bebasi ka sath hota hai
koi apna nahin hota kabhi haal-e-pareshan mein