اردو हिंदी
Charagh-e-husn hai raushan kisi ka | Shaahi Shayari
charagh-e-husn hai raushan kisi ka

Ghazal

Charagh-e-husn hai raushan kisi ka

Bayan Meeruti

;

charagh-e-husn hai raushan kisi ka
hamara KHun hai roghan kisi ka

abhi nadan hain mahshar ke fitne
rahen thame hue daman kisi ka

dil aaya hai qayamat hai mera dil
uThe tazim de jauban kisi ka

ye mahshar aur ye mahshar ke fitne
kisi ki shoKHiyan bachpan kisi ka

adaen ta-abad bikhri paDi hain
azal mein phaT paDa jauban kisi ka

kiya talwar ne ghunghaT mere baad
na munh dekhegi ye dulhan kisi ka

hamari KHak mahshar tak uDi hai
na hath aaya magar daman kisi ka

bajae gul meri turbat pe hon KHar
ki uljhe gosha-e-daman kisi ka

'bayan' barq-e-bala chitwan kisi ki
dil-e-pur-arzu KHirman kisi ka