اردو हिंदी
Charagh-e-fikr jalaya hai raat bhar humne | Shaahi Shayari
charagh-e-fikr jalaya hai raat bhar humne

Ghazal

Charagh-e-fikr jalaya hai raat bhar humne

Irfana Azeez

;

charagh-e-fikr jalaya hai raat bhar hum ne
aur us ke baad nikhaara ruKH-e-sahar hum ne

hamein shuur ne dhoke diye hain rah rah kar
fareb khae hain danista beshtar hum ne

sila KHirad ka zamane mein jam-e-zahr sahi
nikhaar di hai magar azmat-e-bashar hum ne

nazar ho daulat-e-har-do-jahan pe kya mail
sameT li hai bahut daulat-e-nazar hum ne

sada-e-pa ki suni baz-gasht hi har gam
talash ki hai jahan teri rahguzar hum ne

nigar-e-gul ne liya nam zer-e-lab tera
udas chand ko dekha pas-e-shajar hum ne