اردو हिंदी
Charagh-e-dard kabhi yun bujhe bujhe to na the | Shaahi Shayari
charagh-e-dard kabhi yun bujhe bujhe to na the

Ghazal

Charagh-e-dard kabhi yun bujhe bujhe to na the

Meer Naqi Ali Khan Saqib

;

charagh-e-dard kabhi yun bujhe bujhe to na the
hum apne aap se itne khinche khinche to na the

fusun-e-chashma-e-sail-e-rawan ki umr-e-daraaz
un aansuon mein samundar ruke ruke to na the

shab-e-firaq un aankhon mein kaT gai hogi
mile wo kal bhi the lekin thake thake to na the

wo sans leti hui tishnagi wo nahr-e-furaat
labon pe pyas ke dariya thame thame to na the

wo aankh ab bhi samajhti hai ajnabi hum ko
magar hum ahl-e-nazar yun nae nae to na the