charagh dil ka muqabil hawa ke rakhte hain
har ek haal mein tewar bala ke rakhte hain
mila diya hai pasina bhale hi miTTi mein
hum apni aankh ka pani bacha ke rakhte hain
hamein pasand nahin jang mein bhi makkari
jise nishane pe rakkhen bata ke rakhte hain
kahin KHulus kahin dosti kahin pe wafa
baDe qarine se ghar ko saja ke rakhte hain
ana-pasand hain 'hasti'-ji sach sahi lekin
nazar ko apni hamesha jhuka ke rakhte hain
Ghazal
Charagh dil ka muqabil hawa ke rakhte hain
Hastimal Hasti